be-jhijak, be-KHatar
be-dhaDak war kar
meri gardan uDa
aur KHun se mere kaamyabi ke apni nae jam bhar
chhin le husn-o-KHubi, ana, dilkashi
mere lafzon mein lipTa hua mal-o-zar
meri poron se bahti hui raushni
mere mathe pe likkhe hue sab hunar
tujh se shikwa nahin
ai adu mere main teri hamdard hun
teri be-chehragi mujh ko bhati nahin
tujh se kaise kahun!!!
tujh se kaise kahun! qatl karna mujhe tere bas mein nahin
(aur ho bhi agar, teri kam-maegi ma mudawa nahin)
han magar teri dil-jui ke waste
meri gardan pe yun tera KHanjar rahe
(teri danist mein)
khel jari rahe
Nazm
Khel jari rahe
Naina Adil