raqs
sham khaDi hai
bhuri jhaDiyon,
pili ghason ke KHemon se bahar niklo
narm hawaen baalon ki jhaalar se guzarti
lambe lambe kanon mein KHargoshi karti hain
surKH konplen
sabz pattiyan
sanp chhatriyan
jangal mein godam khula hai pagal
apne bekal nathnon mein
is KHush-bu ka chhalla Dal ke raqs karo
har KHatre ko chakma do
chor chaTanon ke niche
sau darwaze hain
kisar phulon ke bistar hain
dhum machane ko sara maidan paDa hai
maut
aur tum apne shabistan chhoD kar
is bayaban ke andhere raste par
KHun mein lat-pat paDe ho
is ki aaKHir kya zarurat thi
wahan par tum jahan ke hukmaran the
kya nahin tha?
KHwab ki diwar kyun-kar par karna chahte the
is tajassus mein kashish kaisi hai
na-malum ko tasKHir ki tamanna kis liye hai
is purani aarzu-mandi mein kya hai
is KHayaban ke aqab mein
wo jo pur-asrar duniyaen basi hain
wo hamein kyun khinchti hain?

Nazm
KHargosh ki sarguzisht
Saqi Faruqi