اردو हिंदी
KHumistan-e-azal ka saqi | Shaahi Shayari
KHumistan-e-azal ka saqi

Nazm

KHumistan-e-azal ka saqi

Zafar Ali Khan

;

pahunchta hai har ek mai-kash ke aage daur-e-jam us ka
kisi ko tishna-lab rakhta nahin hai lutf-e-am us ka

gawahi de rahi hai us ki yaktai pe zat us ki
dui ke naqsh sab jhuTe hain sachcha ek nam us ka

har ek zarra faza ka dastan us ki sunata hai
har ek jhonka hawa ka aa ke deta hai payam us ka

main us ko kaba-o-but-KHana mein kyun DhunDne niklun
mere TuTe hue dil hi ke andar hai qayam us ka

meri uftad ki bhi mere haq mein us ki rahmat thi
ki girte girte bhi main ne liya daman hai tham us ka

wo KHud bhi be-nishan hai zaKHm bhi hain be-nishan us ke
diya hai is ne jo charka nahin hai iltiyam us ka

na ja us ke tahammul par ki hai ab Dhab giraft us ki
Dar us ki der-giri se ki hai saKHt intiqam us ka