ye kis ne mere jism ki tariKH ulaT di?
sanson ki zamin par,
ek khoi hui saat-e-mismar ke katbe!
raftar ke
guftar ke
izhaar ke katbe!
be-KHwab sitaron pe jiye ja raha hun main
na-paid samundar ko piye ja raha hun main
sadiyon ke kai rang jo tahlil hain mujh mein
jiddat ki daraDon se Tapakte hain abhi tak
na-paid samundar se chhalakte hain abhi tak
be-KHwab sitaron mein chamakte hain abhi tak
ruhon ke junun mein,
mahdud sukun mein,
katbe ubhar aae hain mere KHun ki taDap se
mujh mein mere ajdad bhaTakte hain abhi tak

Nazm
KHala-nawardi
Riyaz Latif