shair ne kaha
nazm likhi hai main ne
poshak KHayalat ki si hai main ne
ek aab nai suKHan ko di hai main ne
tarikiyon mein raushni ki hai main ne
tab nazm ne
aah-e-sard bhar ke ye kaha
main dast-e-hawas se bhi gurezan ab tak
thi surat-e-bu-e-gul pareshan ab tak
lekin ye kya ki ho gai hun main aaj
alfaz ke aawaz ke pinjre mein asir
paDhne wale ke walwale ki muhtaj
Nazm
Khaaliq aur taKHliq
Akbar Hyderabadi