اردو हिंदी
Katba(5) | Shaahi Shayari
katba(5)

Nazm

Katba(5)

Khalilur Rahman Azmi

;

ye katba fulan san ka hai
ye san is liye is par kanda kiya

ki sab warison par ye wazeh rahe
ki is roz barsi hai marhum ki

aziz-o-aqarib yatama masakin ko
ziyafat se apni nawazen sabhi ko bulaen

ki sab mil ke marhum ke haq mein dast-e-dua ko uThaen
zaban se kahen apni marhum ki maghfirat ho

buzurg-e-muqaddas ke nam-e-muqaddas pe bhejen darud-o-salam
sabhi KHas o aam

magar ye bhi malhuz-e-KHatir rahe
aziz-o-aqarib ka shurb o taam

aur us ka nizam
alag ho wahan se

jahan hon yatama masakin andhe bhikari
phaTe aur maile libason mein sab aurten aur bachche

kai lule langDe mariz aur gande
wahi jin ko kahte hain hum sab awam

wahan hoga ek shor-o-ghul izhdiham
ye kar denge hum sab ka jina haram