karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte waqt ki har mauj Thahar jaegi
ye chand bite zamanon ka aaina hoga
bhaTakte abr mein chehra koi bana hoga
udas rah hai koi dastan sunaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
barasta bhigta mausam dhuan dhuan hoga
pighalti shama pe chehra koi guman hoga
hatheliyon ki hina yaad kuchh dilaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
gali ke moD pe suna sa koi darwaza
tarasti aankh mein rasta kisi ka dekhega
nigah dur talak ja ke lauT aaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
Nazm
Karoge yaad to har baat yaad aaegi
Bashar Nawaz