jo maza chahat mein hai
hasil mein us ko DhunDhna be-kar hai
ho kahan tum kis jahan mein
kyun mujhe malum ho?
dhund mein ho KHwab mein
ya aasman ki qaus mein
ya mauj ki gardish mein ho
tum hath ki rekha ke andar ho kahin
ya dur sannaTon ke Takraw se paida
an-suni aawaz ki rezish mein ho
chahe kahin bhi ho
meri chahat ke phaile bazuon ke
halqa-e-mauhum mein maujud ho!
lams mein hiddat bahut hai
aur sitaron ki chubhan ka bhi mujhe ehsas hai
band muTThi mein dabe moti
ki lazzat se bhi hun main aashna
par bayan kaise karun
wo lutf jo chahat ki phaili boss ki
madhosh-kun ThanDak mein hai
chahat ke har dam
phailte aafaq ki larzish mein hai!!
Nazm
Karan-ta-karan
Wazir Agha