kal raat
wo thaka hua
chup chup
udas udas
sunta raha saDak se guzarti bason ka shor
pipal ka patta TuT ke diwar Dha gaya
aanton ka dard nind ki pariyon ko kha gaya
jhunjhla ke us ne chandi ka dipak bujha diya
aakash ko sameT ke niche gira diya
phaili hui zamin ko dhuen sa uDa diya
phir kuchh nahin
na khet, na maidan na raste
bas ek nigah
khiDki ki rang-jaliyan
(bas tin chaar aane ki do chaar goliyan)
Nazm
Kal raat
Nida Fazli