اردو हिंदी
Kal humne sapna dekha hai | Shaahi Shayari
kal humne sapna dekha hai

Nazm

Kal humne sapna dekha hai

Ibn e Insha

;

kal hum ne sapna dekha hai
jo apna ho nahin sakta hai

us shaKHs ko apna dekha hai
wo shaKHs ki jis ki KHatir hum

is des phiren us des phiren
jogi ka bana kar bhes phiren

chahat ke nirale git likhen
ji mohne wale git likhen

dharti ke mahakte baghon se
kaliyon ki jholi bhar laen

ambar ke sajile manDal se
taron ki Doli bhar laen

han kis ke liye sab us ke liye
wo jis ke lab par Tesu hain

wo jis ke nainan aahu hain
jo KHar bhi hai aur KHushbu bhi

jo dard bhi hai aur daru bhi
wo allhaD si wo chanchal si

wo shaer si wo pagal si
log aap-hi-ap samajh jaen

hum nam na us ka batlaen
ai dekhne walo tum ne bhi

us nar ki pit ki aanchon mein
is dil ka tina dekha hai?

kal hum ne sapna dekha hai