lafz taswiren banate tere honTon se uThe the lekin
dekhte dekhte tahlil hue
un ki hiddat meri rag rag mein rawan thi so rahi
phir tere hathon ka lams aise mulaem alfaz
teri aankhon ki chamak raushan o mubham alfaz
aur wo lafz jo lafzon mein nihan rahte hain
aur wo lafz ki izhaar ke muhtaj nahin
phir bhi hain un ke liye gosh-bar-awaz sabhi
un ke hamraaz sabhi
sab sune main ne magar aaKHir-e-kar
sabhi tahlil hue
lafz phir rup badal kar mere dil mein larze
shauq-e-izhaar mein be-tab hue
lafz izhaar mein surat hi badal lete hain
jaane kya baat thi kya samjhe log
har koi apne hi lafzon mein magan
har koi apne hi ras-rang mein gum
har koi apne hi aahang mein gum
aur phir lafz ki rahte hain gurezan KHud se
kaun sunta hai unhen? kaun samajhta hai unhen?
jaane kya baat thi kya tu ne suni
apne izhaar pe nadim tha pasheman tha main
apni hi baat pe hairan tha main
phir meri baat bhi tahlil hui
jaise tu bhul gai jaise jahan bhul gaya
aur ab main hun wo ek lafz-e-gharib
koi puchhe bhi to chup rahta hun
Nazm
Kahi an-kahi
Zia Jalandhari