ajab din the wo
jhaDiyan aag ke jhunD kai-zada tal
jin ke kinare hazaron baras se khaDe
jand aur one ke Dhanche
phulai ke pharwan ke jangal jo dharti pe bichh se gae the
udasi hua ban ke phirti thi
aur sunnat sadhu
purane daraKHton ke niche bichhi ghas par
aalti palti mar kar baiThte the
KHud apne hi andar ke tarik jangal ka hissa bane the
ajab din the wo
jab bhi kuchh kahna chaha
ghuse murda lafzon ki koi kumak tak na aai
jo aai to phir honT sil se gae
aur aankhen
na kah sakne ke karb mein mubtala ho ke
apne hi halqon se bahar nikal aaen risne lagin
aur phir ek din
unche-niche pahaDon se hota hua wo
yahan aa ke Thahra
yahan aa ke us ne
muammar-tarin one ke niche wo shoala jagaya
ki jis mein bhasm ho gae sab ye one jhunD pharwan phulai
hawa ho gae sunnat-sadhu kaTi jhaDiyan
aur kai-zada tal dharti ke nasur
ab un ka nam-o-nishan bhi nahin tha
tab us ne
muqaddas asa se wo jadu jagaya ki sari faza sail-e-anwar mein bah gai
ghonslon aur phulon mein Dhalti gai ye zamin
chahchahon KHushbuon se hawa aT gai
aaj wo lauT kar ja chuka hai
to phir kali dharti ke andar se aag aae hain
janD ke peD kanTon-bhari jhaDiyan
phir se risne lage hain
wo kai-zada tal
jin ke andar se
manhus sadhu nikal kar kinaron pe baiThe hue hain
udasi hua ban ke phirne lagi hai
kisi ne alaw pe bhaari qadam kya rakha hai
andhere ka bojhal sa paT khul gaya hai
faza bujh gai hai
faza bujh gai hai
magar kor aankhon ko kaise dikhaun
ki us bhaari panw ke niche
andhere ke bojhal se is paT ke pichhe
kiran apne baston pe lipTi hui hai
sunahri se ek bij mein so rahi hai
Nazm
Kahani
Wazir Agha