kahan ja rahe ho
siyah raushni ki
chaka-chaund dhaara ke duje kinare pe
andha kuan ek qadam fasla
kahan ji rahe ho
khuli aankh ke dil-nashin KHwab ki
ek taswir mein
jis ki tabir azalon se madum hai
kahan hans rahe ho
pas-e-qahqaha
audible range se bhi bahut dur niche
karahon ki lahren fana ho rahi hain
kahan dekhte ho
sitaron ke pichhe nai kahkashaen
jahan pe tajazub bhi is par jaisa
repulsion bhi jo ki yahan bhogte ho
kahan ja rahe ho
Nazm
Kahan
Parveen Tahir