ghar se basta aur tiffin ke sath nikalna maktab ko 
aadhe hi raste se ghum ke wapas aana 
sham Dhale tak 
khelna kudna 
jhagDe karna 
phir mil jaana 
bagh se ja kar aam churana 
pakDe jaana 
ghar par aa kar DanTen sunna 
kabhi kabhi thappaD bhi khana 
ganne ke murjhae aur kale phulon se 
naqli daDhi munchh banana 
chhup kar juThi biDi pina 
kheton mein jhaDe ko jaana 
idhar udhar ki baaten karna 
ek gore laDke ke pichhe takte rahna 
kam-umri mein baaligh hona 
ulTe sidhe dhyan mein shab bhar 
jagte rahna 
kitna achchha lagta tha 
wo raaten kitni pyari thin 
wo din kitne albele the
        Nazm
Kachche rangon ka mausam
Shakeel Azmi

