chand kab se hai sar-e-shaKH-e-sanobar aTka
ghas shabnam mein sharabor hai shab hai aadhi
baam suna hai, kahan DhunDen kisi ka chehra
(log samjhenge ki be-rabt hain baaten apni)
sher ugte hain dukhi zehn se konpal konpal
kaun mausam hai ki bharpur hain gham ki belen
dur pahunche hain sarakte hue ude baadal
chand tanha hai (agar us ki balaen le len?)
dosto ji ka ajab haal hai, lena baDhna
chandni raat hai katik ka mahina hoga
mir-e-maghfur ke ashaar na paiham paDhna
jine walon ko abhi aur bhi jina hoga
chand ThiThka hai sar-e-shaKH-e-sanobar kab se
kaun sa chand hai kis rut ki hain raaten logo
dhund uDne lagi bunne lagi kya kya chehre
achchhi lagti hain diwanon ki si baaten logo
bhigti raat mein dubka hua jhingar bola
kasmasati kisi jhaDi mein se KHushbu lapki
koi kakul koi daman, koi aanchal hoga
ek duniya thi magar hum se sameTi na gai
ye baDa chand chamakta hua chehra khole
baiTha rahta hai sar-e-baam-e-shabistan shab ko
hum to is shahr mein tanha hain, hamin se bole
kaun is husn ko dekhega ye is se puchho
sone lagti hai sar-e-sham ye sari duniya
in ke hujron mein na dar hai na daricha koi
in ki qismat mein shab-e-mah ko rona kaisa
in ke sine mein na hasrat na tamanna koi
kis se is dard-e-judai ki shikayat kahiye
yan to sine mein niystan ka niystan hoga
kis se is dil ke ujaDne ki hikayat kahiye
sunne wala bhi jo hairan nahin, hairan hoga
aisi baaton se na kuchh baat banegi apni
suni aankhon mein nirasha ka ghulega kajal
KHali sapnon se na auqat banegi apni
ye shab-e-mah bhi kaT jaegi be-kal be-kal
ji mein aati hai ki kamre mein bula len is ko
chand kab se hai sar-e-shaKH-e-sanobar aTka
raat us ko bhi nigal jaegi bolo bolo
baam par aur na aaega kisi ka chehra
Nazm
Katik ka chand
Ibn e Insha