thaka-haara azal ki wusaton mein KHak ka putla
hazaron man ki tariki tale tha sakit-o-jamid
har ek zi-ruh ki nazron ka markaz, maujib-e-hairat
chamakte nuriyon ki shaukat-e-betab ka shahid
ghaDi mein kya hua kyun is qadar miTTi ke paikar ne
ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khaya
khanakti KHak ne kyun kanpne ki ibtida kar di
na jaane reza-e-jaan mein samundar kyun umaD aaya
kisi sayyal madde ka bahut shaffaf sa qatra
gira aur khub gaya, is KHak ke be-laus TukDe par
chubhan mein KHar tha lekin jalan mein nar ki surat
diye raushan hue, phaili ziya wijdan ke andar
phir ek aawaz! shayad tha sada-e-kun se ghul barpa
usi sayyal madde se bana ek jazba-e-sozan
ki jis ke sath thi biphre hue ehsas ki sozish
hua us din se hi kar-e-murawwat rezish-e-pinhan
mohabbat ki rutubat ne talatum-KHez gardish ki
surud-e-himmat-e-ali usi mizrab se phuTa
bahut nazuk, shagufta, tez-tar tasir thi us mein
ki sang-e-bad-gumani bhi usi billor se TuTa
usi jauhar ki jumbish se to ghairat sar uThati hai
sitam ke zahr ka tiryaq aaKHir sanch banta hai
wafa ki aanch, armanon ka indhan tez karta hai
yahi jauhar pighalta hai yaqin ka kanch banta hai
Nazm
Kanch
Mohammad Shahbaz Akmal