kuchh sher-go paraya qalam-dan khol kar
kahte hain sher 'mir' ka diwan khol kar
biwi ke samne jo zaban kholte nahin
chalte hain rah mein wo gareban khol kar
tum nashte ki mez pe baiThi ho is tarah
jaise ki rakh diya ho namak-dan khol kar
'KHalid' hamare sher adab ke ye azhdahe
sunte hain munh ko band kiye kan khol kar
Nazm
Kan khol kar
Khalid Irfan