phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye
meri man to unhen be-kar chuna karti hai
chandni ho ki kaDi dhup ki garmi kuchh ho
meri KHatir tu kahan rose phira karti hai
mere malbus mohabbat ka jo paiwand bane
mujh ko us reshmi kapDe ki zarurat kya hai
jo kabhi apna kabhi ghair ka bimar bane
mujh ko us husn ki yalghaar se nisbat kya hai
apne hi zauq-e-tabassum mein giraftar-o-asir
zard chehre pe mile ghaza-e-gul-e-rang ki dhul
ghair-mumkin hai na den teri nigahon ko fareb
muskuraate hue lab aur ye hanste hue phul
kya baDhaenge kabhi zinat-e-daman-e-KHulus
KHarzaron se ulajhna jinhen aata hi na ho
jin se qaem na ho KHud apne hi jalwon ka waqar
aaina le ke sanwarna jinhen aata hi na ho
raat-bhar jalta rahe chahiye mujh ko wo charagh
phul kaghaz ke hain kuchh der mein jal jaenge
tere hathon ke tarashe hue majhul sanam
mere hathon ki hararat se pighal jaenge
kya milega mujhe us gul ke tabassum se kabhi
jis ke chehre pe ho rangin shararat ki lakir
kya milega mujhe us hat ki zebai se
jis pe chaDhte hue sharmae hina ki tahrir
aise gulshan mein kahan raat-ki-rani mahke
jis ke har goshe se katra ke guzarti ho bahaar
qafila apni umidon ka kahan par Thahre
dur tak chhaya ho jab gardish-e-dauran ka ghubar
dil mein ek waqt-e-tarab-nak ka arman liye
KHud ko yun waqf-e-gham-o-gardish-e-haalat na kar
jin ka dawa hai ki hain tere muqaddar ke KHuda
meri KHatir to kabhi un se koi baat na kar
phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye
meri man tu unhen be-kar chuna karti hai
chandni ho ki kaDi dhup ki garmi chakkho
meri KHatir tu kahan rose phira karti hai
Nazm
Kaghaz ke phul
Fareed Ishrati