اردو हिंदी
Kaenat-e-zat ka musafir | Shaahi Shayari
kaenat-e-zat ka musafir

Nazm

Kaenat-e-zat ka musafir

Ahmad Zafar

;

aaina raqs mein hasrat ki shanasai ka
kitne chup-chap KHarabon mein liye jata hai

har taraf nirKH-zada chehron ki aawazen hain
meri aawaz kahan thi meri aawaz kahan

madfan-e-waqt se kab koi sada aai hai
ek lamha wahi lamha meri tanhai ka

zaKHm par zaKHm mere dil ko diye jata hai
phul ke hath mein hai raat ke matam ka charagh

kabhi bujhta kabhi jalta hai sulagta hai kabhi
sans se jism ka nata meri ruswai hai

ham-safar kaun hua lala-e-sahrai ka
parda-e-raaz-e-azal chaak kiye jata hai

sar hatheli pe sajae hue chalte rahna
zinda rahne ke liye rasm rahegi kab tak

dard dariya hai wahi dard ki gahrai hai