raat ke pahlu mein
baiTha hai sunahri azhdaha
ahmarin phunkar ke
maddham suron ka shor hai
is ghaDi lagta hai wo kuchh aur hai
band hote aur khulte daeron ke darmiyan
aap apni zat ke girdab mein
jaise koi dewta mehrab mein
waqt ke is naqsha-e-mubham pe kaun
us ke maskan ka lagaega suragh
kaun rakkhega hatheli par charagh
is ke nish-e-arzu ke zaiqe chakkhega kaun
kis ko dildari ki fursat hai yahan
han magar ye raat hai is ki rafiq
der tak apna badan daswaegi
subah hone tak usi ke rang mein rang jaegi

Nazm
Kabus
Shaheen Mufti