nigar-e-sham-e-gham main tujh se ruKHsat hone aaya hun
gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi
sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya
ye lamhe phir na lauTenge ye saat phir na aaegi
jaras ki naghmagi aawaz-e-matam hoti jati hai
ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata
ye maujon ka talatum ye bhare dariya ki tughyani
zara si der mein ye dhaDkanen bhi Dub jaengi
meri aaankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani
teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai
Nazm
Judai
Mustafa Zaidi