aankh bojhal hai
magar nind nahin aati hai
meri gardan mein hamail teri banhen jo nahin
kisi karwaT bhi mujhe chain nahin paDta hai
sard paDti hui raat
mangne aai hai phir mujh se
tere narm badan ki garmi
aur darichon se jhijakti hui aahista hawa
khojti hai mere gham-KHane mein
teri sanson ki gulabi KHushbu!
mera bistar hi nahin
dil bhi bahut KHali hai
ek KHala hai ki meri ruh mein dahshat ki tarah utra hai
tera nanha sa wajud
kaise us ne mujhe bhar rakkha tha
tere hote hue duniya se talluq ki zarurat hi na thi
sari wabastagiyan tujh se thin
tu meri soch bhi, taswir bhi aur boli bhi
main teri man, bhi teri dost bhi ham-joli bhi
tere jaane pe khula
lafz hi koi mujhe yaad nahin
baat karna hi mujhe bhul gaya!
tu meri ruh ka hissa tha
mere chaaron taraf
chand ki tarah se raqsan tha magar
kis qadar jald teri hasti ne
mere atraf mein suraj ki jagah le li hai
ab tere gird main raqsinda hun!
waqt ka faisla tha
tere farda ki rifaqat ke liye
mera imroz akela rah jae
mere bachche, mere lal
farz to mujh ko nibhana hai magar
dekh ki kitni akeli hun main!
Nazm
Judai ki pahli raat
Parveen Shakir