main ruh hun is virane ki
jo KHak bagula phirti hai
ek chehra is afsane ka
be-kar jo taDpa karta hai
ek lasha un armanon ka
be-dam jo bikta rahta hai
main basti basti nagar nagar
betab tamannaen le kar
KHali jholi gadla daman
har gali gali phailae hue
be-KHwab si suni aankhon ko
kuchh KHwab nae dikhlata hun
TuTe barbat se nikli hui
kuchh dhunen unhen sunwata hun
is aas mein DhunDhta rahta hun
ki shayad inhin tanon se kahin
lai phuTe nae afsane ki
girdab ki tarah se ubal paDe
suni dharti armanon ki

Nazm
Jogi
Razi Raziuddin