is KHabar ke aane ke baad
main apne ghar ki khiDkiyan
band karti hun
bijli ke tar switch-off kar deti hun
freeze mein rakha khana
paDos mein de deti hun
bacha hua dudh gali ki billi ke aage
Dal deti hun
aur ek gilass ThanDa pani piti hun
tamam darwaze lock kar ke
saDak par nikal jati hun
dopahar se pahle
ya raat ke kisi pahar
sarkari gaDi mein
sarkari murda-KHane mein
mujhe baqi jila-watanon ke sath
phenk diya jaega
aur ek KHabar chhapegi
mulzima fulan-bint-e-fulan ke ghar
purane sanduq mein
purane kapDon ki tahon mein
bahut si nazmen
qabil-e-e'tiraaz haalat mein pai gain
Nazm
Jila-watan hone se pahle
Azra Abbas