sabhi ne id manai mere gulistan mein
kisi ne phul piroe kisi ne KHar chune
ba-nam-e-izn-e-takallum ba-nam-e-jabr-e-sukut
kisi ne honT chabae kisi ne git bune
baDe ghazab ka gulistan mein jashn-e-id hua
kahin to bijliyan kaundin kahin chinar jale
kahin kahin koi fanus bhi nazar aaya
ba-taur-e-KHas magar qalb-e-dagh-dar jale
ajab thi id-e-KHumistan ajab tha rang-e-nashat
kisi ne baada-o-saghar kisi ne ashk piye
kisi ne atlas-o-kamKHwab ki qaba pahni
kisi ne chaak-e-gareban kisi ne zaKHm siye
hamare zauq-e-nazara ko id din bhi
kahin pe saya-e-zulmat kahin pe nur mila
kisi ne dida-o-dil ke kanwal khile pae
kisi ko saghar-e-ehsas chakna-chur mila
ba-faiz-e-id bhi paida hui na yak-rangi
koi malul koi gham se be-niyaz raha
baDa ghazab hai KHudawand-e-kausar-o-tasnim
ki roz-e-id bhi tabqon ka imtiyaz raha
Nazm
Jashn-e-id
Shakeb Jalali