meinh barasta hai to dharti ki nazar jhumti hai
phul khilte hain to gulshan pe nikhaar aata hai
lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
KHud-farebi se kahin dil ko qarar aata hai
tum agar jashn-e-bahaaran bhi kahoge is ko
maut ke ghaT ye dhoka bhi utar jaega
baad-e-sarsar ko agar tum ne kaha mauj-e-nasim
is se mausam mein koi farq nahin aaega
ye gulistan ye gulistan mein sisakte ghunche
apne aamal ke parde mein inhen Dhanp to lo
eqtidar aaj bhi sargarm-e-safar hai lekin
be-nawaon ke iradon ko zara bhanp to lo
aaj insan ki azmat ne kiya hai elan
KHud-farebi se koi ji ko na bahalaega
jab tak aaraish-e-gulzar nahin ho jati
kisi konpal kisi ghunche ko na chain aaega
lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo
ye tamasha hamein be-kar nazar aata hai
meinh barasta hai na dharti ki nazar jhumti hai
phul khilte hain na gulshan pe nikhaar aata hai
Nazm
Jashn-e-azadi
Qateel Shifai