shahr ke aare chalate be-sure bad-rang shor-o-ghul se dur
pak rangon ka sanam aabaad
pak aawazon ka ek gandharw-lok
shahr walon mein hai jangal jis ka nam
subh jis ki ek arzang aur albam jis ki sham
wo lachakti fasl ke pahlu mein kuhni mar kar kilkariyan bharti hui
jhanjhana uThte hain moTe chamchamate tar
tape par jati hai bal khati hui aawaz
chhiD gai ho dur jaise jal-tarang
dauDti hai sansani aisi umang
jaise pani mein hazaron machhliyan ek sath kuden aur chadar chir jaen
jaise pakke kaam wali saDiyan lahraen sarsaraen
gungunaen jaise hanson ke hujum
gungunaen sarmadi naghme nujum
wo sunahri choliyon mein kas-masate, gol, ubhre, sanwle Tile
gol, ubhre, sanwle Tile sunahri, tang, raushan choliyan
kas-masate, gol, ubhre sanwle gadrae bhaari saKHt Tile
wo sunahre-pan ko yan-wan phaD kar KHud phaT paDa hai shyam-rang
bar se hai chaak-choli jhankta hai sanwli dharti ka ang
(yaad aata hai yahan tashbih ka samraT kali-das)
wo khajuron ke daraKHton ki qatar-andar-qatar
ek-dam sidhi khaDi sambandh rekhaen zamin-o-asman ke darmiyan
aasmani shamiyana in sutunon ke siron ko chhoD kar
be-sutun gumbad-sa KHud laTka hua
aam ki Dalon pe chikne sabz patte
sabz patton par laTakti kairiyan
sabz nannhi kairiyan
rang ras aur swad ke KHwabon ki tabiron ke ankhwe khil gae
sabz-pila sabz-bhura sabz-kala sabz-zarrin sabz-nila
sabz sabz sabz sabz
sabz-ghaalib rang kitni joDiyon ke sath phaila hua
sabz-ghaalib rang baqi rang goya is ke shade
ras-manDal mein kanhayya sabz baqi us ki gopiyan
tez be-had tez be-dam hanpti mauj-e-hawa ki lai
tez be-had tez lekin naghma-rez
jhumta gata thirakta nachta mahaul
ek lai mein raqs karte hain faza dehat jangal khet
raqs mein hai mauj-e-rang
mauj mein aawaz
aur phir aawaz mein KHushbu ka raqs
sab ke sab hain ek lai ke daere mein ham-nawa ham-raqs baham ek
dur tak phailao aazadi mohabbat aur chanchal shanti
ek jiti-jagti tabinda zinda shanti
phulne-phalne sanwarne kar guzarne ka khula imkan
shahr walon mein hai jangal is ka nam
Nazm
Jangal: ek hasht pahlu taswir
Ameeq Hanafi