اردو हिंदी
Jald-bazi | Shaahi Shayari
jald-bazi

Nazm

Jald-bazi

Mohsin Aftab Kelapuri

;

aaj phir
main office se

ghar ko leT pahuncha tha
Dor bel bajate hi

jhuT-puTa ke aai wo
us ne

muskura ke phir
beg hath se le kar

kah diya ke
fresh ho jao

main ne
aap ki KHatir

aap ki wo fawourite Dish
aaj phir pakai hai

meri bhuk had-darja baDh gai thi
so main ne

aaj khana khane mein
phir se jald-bazi ki

bhul baiTha ke wo bhi ab talak ki bhuki hai