zamana kitna badal gaya hai
maqam rishton ka miT raha hai
kahin mohabbat ka rup dhaare
kahin sulagte ye nafraton se
kahin pe aankhon mein ret ban kar
chubhan ki surat rula rahe hain
kahin ye barqi payam ban kar
hazar milon pe chhai duri ke baadalon ko haTa rahe hain
dilon ki dhaDkan baDha rahe hain
riwayaton ko badal rahe hain
wafa ke dhage jafa se har dam ulajh rahe hain
udas lamhe KHushi-o-hairat ki sari ghaDiyan
dilon se bahar nikal ke diwar ka nawishta
mohabbat azali azim rishta
jo lakhon pardon mein jagmagata tha
ab status pe ishtiha ki KHabar ki surat badal raha hai
koi bhi jazba koi bhi rishta
na mustaqil hai na mo'atabar hai
palak jhapakne mein badle manzar
ki jaise koi jahan-zadi talluq apna badal rahi ho
nai koi chaal chal rahi ho
junun ki agli jo manzilen hain
wahan pe taswiren aawezan hain
dabi dabi muskurahaTen hain
ghuTi ghuTi sansanahaTen hain
junun ehsas aur mohabbat
waqar apna miTa rahi hain
bata rahi hain
zamana kitna badal gaya hai
Nazm
Jahan-zadi ka status
Maimoona Abbas Khan