1
sarishk-e-KHun ruKH-e-mazmun pe chalta hai to ek rasta
nikalta hai
nadi dariya pe tham jae
lahu nuqte pe jam jae to unwan-e-safar Thahre
usi raste pe sarkash raushni taron mein Dhalti hai
usi nuqte ki suli par payambar baat karte hain
mujhe chalna nahin aata
shab-e-sakin ki KHana-zad taswiro gawahi do
fasil-e-subh-e-mumkin par mujhe chalna nahin aata
mere chashmon mein shor-e-ab yakja bar-shakali hai
nadi maqruz baadal ki
mera dariya sawali hai
rag-e-harf-e-zubun mein jo charagh-e-KHun safar mein hai
abhi us nuqta-e-aKHir ke zine tak nahin aata
jahan jallad ka ghar hai
jahan diwar-e-subh-e-zat ke raKHne se nigah-e-KHashmagin
barud ki chashmak Daraati hai
jahan suli ke mimbar par payambar baat karte hain
2
ab in baaton ke sikke jeb ke andar khanakte hain ki jin par
qasr-e-shahi ke manazir
aslaha-KHanon se jari hukm kunda hain
bhare bazar mein tifl-e-tahi-kisa pareshan hai ki us ke panw
Taksalon ke raste se abhi na-ashna hain
aur us ka bap gunga hai
nadi ruk ruk ke chalti hai
takallum rehn rakhne se safar aasan nahin hota
hua paspa jahan pani
jahan maujon ne zanjir-e-wafa pahni sipar girdab ki rakh di
alam rakhe qalam rakhe
KHafa baadal ne jin payab dariyaon se munh moDa
jahan taraj hai kheti
jahan qarya ujaDta hai
tanab-e-rah kaTti hai kahin KHema ukhaDta hai
wahan se dur hai nadi
wahan se dur hai bachcha ki us ke panw
dariyaon ke raste se abhi na-ashna hain
aur us ka bap gunga hai
use chalna nahin aata
fasil-e-subh-e-mumkin par use chalna nahin aata
3
sahar ke pas hain mansuKH sharten sulh-name ki
saba dars-e-ziyan-amoz ki tafsil rakhti hai
kisi tamsil mein tum ho
kisi ijmal mein main hun
kahin qirtas KHali ka wo be-unwan sahil hai
jahan aashuftagan-e-adl ne hathiyar Dale hain
bahut zaten hain sadmon ki
kai hisse hain sine mein nafas gum-karda lamhe ke
kai tabqat hain din ke
kahin subh-e-mukafat-e-suKHan ke mantaqe mein tum muqayyad ho
kisi pichhle pahar ke sulh-name ki adalat mein
kaDi sharton par apne dastaKHat ke ru-ba-ru main hun
suno qirtas-e-KHali ke sipar-andaz sahil se
hawa kya baat kahti hai
idhar us dusre sahil se jo mallah aaya hai
zaminen bechti basti se kya paigham laya hai
koi tazir ki dhamki
koi wada rihai ka
koi aansu
koi chhuTTi
Nazm
Jahan dariya utarta hai
Akhtar Husain Jafri