unhon ne subh aur sham ke aKHbar uThae
aur raddi wale ko de diye
hamare ghar mein
kuDe-karkaT ki jagah nahin
unhon ne kitab uThai
aur gali mein phenk di
hamari almari mein
be-kar alfaz ke liye
koi jagah nahin
unhon ne sada kaghaz uThae
aur apna munh ponchhne lage
apne bachchon ke liye jahaz banane lage
kaghaz isi kaam aata hai
unhon ne kaha
aur har taraf jahaz uDane lage
phir hamein aur kaghaz aur lafz ko
apne itne qarib dekh kar
unhon ne hamein uThaya
aur ghar se bahar
saDak par khaDa kar diya
hum ne unhen dekha
aur dekhte hi apni aankhen band kar lin
un ke liye hamare dil mein
koi jagah nahin thi
Nazm
Jagah
Zeeshan Sahil