jab hum donon juda hue the
us ne pahni sarma ki raaton mein nikle chand ki saDi
main ne pahna
apni ban-basi ka chola
us ne mangi dhup
jo barfon par chamki thi aur hansi ke dariya mein bahte hue
hum tak pahunchi thi
main ne mangi ghas mein giri hui aawaz
us ke hath mein
aaTh pahar ke KHwab ka chhoTa bachcha tha
mere hath mein waqt ne apne bij se bahar panw rakha
us ki aankh mein naw Dubi
meri aankh mein ek parinda Dar ke dubka
us ke honT pe mere nam ka saya tha
mere honT pe us ke jism ki barish thi
us ke dil mein gum-gashta tahzibon jaisi KHamoshi thi
mere dil mein tez hawa ki yaad mein khoya mausam tha
us ke panw hairat ki siDhi se niche utar rahe the
mere panw dil ki zamin se lipaT rahe the
jab hum donon juda hue the
aadha bosa aadha aansu dil mein raha
Nazm
Jab hum donon juda hue the
Asghar Nadeem Sayed