tum nahin jaante
is dhund ka qissa kya hai
dhund jis mein kai zanjiren hain
ek zanjir
kisi phul kisi shabd
kisi tair ki
ek zanjir kisi rang kisi barq
kisi pani ki
zulf o ruKHsar
lab o chashm ki peshani ki
tum nahin jaante
is dhund ka zanjiron se rishta kya hai
ye fusun-kar tamasha kya hai!
tum ne bas dhund ke us par se
tiron ke nishane bandhe
aur idhar main ne tumhaare liye
jhankar mein dil rakh diya
kaDiyon mein zamane bandhe
jao ab rote raho
waqt ke mahbas mein
KHud apne hi gale se lag kar
tum mere sina-e-sad-rang ke
haqdar nahin
ab tumhaare mere mabain
kisi did ka
na-did ka asrar nahin!!
Nazm
Jao ab rote raho
Rafiq Sandelvi