mujhe jaane wale ka gham to nahin hai
ki jaana muqaddar hai
lekin mujhe us se ye puchhna hai
ki pahle safar ki hikayat mein gar tahi-damani hai
to phir kaun si manzilon ki talab mein
ye azm-e-safar hai
ye azm-e-safar hai to waqt-e-safar phir
udasi ki be-nur chadar lapeTe
nigahon mein viraniyon ko basae
har ek aane wale se kyun kah raha hai
wo aansu bahae
mujhe jaane wale se ye puchhna hai
ki andhe safar ki hikayat mein
gar tahi-damani hai
to hum ko KHabar de
ki hum apne pahle safar hi mein raste badal len
Nazm
Jaane wale ka nauha
Fayyaz tahseen