lambe waqt se soch raha hun
jaane kyun aisa hun main
milne se ghabraata hun main jhuT nahin kah pata hun
us ke shikwe us ki shikayat jhagDe se Dar jata hun
idhar-udhar ki baaten mujh ko zara na KHush kar pati hain
jaane kyun aisa hun main
dost nahin ban pate mere
rishte nahin sambhalte hain
beja mohabbat beja takalluf
donon ochhe lagte hain
auron ki kamiyon ko bilkul
achchha nahin kah pata hun
jaane kyun aisa hun main
achchhe bhale kaamon mein aksar
der bahut kar deta hun
ammi se baaten karni hun beTi ke school ho jaana
koi naya nowel paDhna ho koi kahani likhni ho
sab ko Talta rahta hun
jaane kyun aisa hun main
bhiD bhare shahron se mujh ko
wahshat si ho jati hai
ganw jangal sunsan jaghen
aksar KHush aa jati hain
koi alhaD chehra dekhun man ko wo bha jata hai
jaane kyun aisa hun main
peDon ke pairahan dekhun phulon ki KHushbu ko sunghun
rang-birangi titliyan pakDun halki halki bunden bhi
ThanDi naram hawaen jab jab chupke se chhu jati hain
ya koyal ki boli sun lun man byakul ho jata hai
jaane kyun aisa hun main
naT banjaran sanyasi aur khel-tamashe wale log
khanDar virana jalti dhup phuli sarson dhan ke khet
lal patang aur pili maina indr-dhanush aur nadi ki dhaar
aate hain jab KHwab mein mere diwana ho jata hun
jaane kyun aisa hun main
bahut mujhe achchha kahte hain bura bhi koi kahta hai
samne meri madh-sarai pichhe gali deta hai
hamdardi hai koi dikhata koi sazish karta hai
phir bhi chup chup sa rahta hun jaise bahut anjaan hun main
jaane kyun aisa hun main
thoDi si aazadi mujh ko thoDa bahut waqt ka ziyan
kabhi kabhaar ki achchhi baaten kisi kisi ka sachcha pyar
chhoTi-moTi koi shararat khilkhila kar hansna bhi
ye sab KHush kar jate hain jab to
lagta hai ki zinda hun
jaane kyun aisa hun main
Nazm
Jaane kyun aisa hun main
Abu Bakr Abbad