chaar shanasa diwaron mein
ek anjaana kamra
aur anjaane kamre mein
ek anjaan shanasa main
diwaron se mukalima
na-mumkin sa
apne-ap se baaten karni bhi mushkil
chaar shanasa diwaren to
mera partaw
mera aks
aur inhi ka saya main

Nazm
Jaana-pahchana ajnabi
Akbar Hyderabadi