chola badalne se
KHaslat nahin badalti logo
tum apne sehhat-mand jism par chahe kitna hi
ghaza mal lo
us se ruh ke zaKHm kabhi bhar nahin sakte
ruh ki pyas bujhane ke liye
tumhein in hi miTTi se ubalte hue chashmon ki
zarurat hogi ek din
KHushbu ban kar aakash par uDne walon ko bhi
abadi sukun miTTi ke hi bistaron pe mila karta hai
waqt Thahar jata hai
jahan jamid lamhon ke sae mein
milte hain do pyar-bhare dil taKHliq-e-nau ka KHumar liye
wahi sach hai
wahi taqwe ka asli jahan
wahi hai KHuda ka azli makan
Nazm
Jamid lamhon ke sae
Perwaiz Shaharyar