jab mera ji chahe main jadu ke khel dikha sakta hun
aandhi ban kar chal sakta hun baadal ban kar chha sakta hun
hath ke ek ishaare se pani mein aag laga sakta hun
rakh ke Dher se taza rangon wale phul uga sakta hun
itne unche aasaman ke tare toD ke la sakta hun
meri umr to bas aaise hi khel dikhate guzri hai
apni sans ke shoalon se gulzar khilate guzri hai
jhuTi sachchi baaton ke bazar sajate guzri hai
patthar ki diwaron ko sangit sunate guzri hai
apne dard ko duniya ki nazron se chhupate guzri hai
Nazm
Jadugar
Muneer Niyazi