tujhe izhaar-e-mohabbat se agar nafrat hai
tu ne honTon ko larazne se to roka hota
be-niyazi se magar kanpti aawaz ke sath
tu ne ghabra ke mera nam na puchha hota
tere bas mein thi agar mashal-e-jazbaat ki lau
tere ruKHsar mein gulzar na bhaDka hota
yun to mujh se huin sirf aab-o-hawa ki baaten
apne TuTe hue fiqron ko to parkha hota
yunhi be-wajh ThiTakne ki zarurat kya thi
dam-e-ruKHsat main agar yaad na aaya hota
tera ghammaz bana KHud tera andaz-e-KHiram
dil na sambhla tha to qadmon ko sambhaala hota
apne badle meri taswir nazar aa jati
tu ne us waqt agar aaina dekha hota
hausla tujh ko na tha mujh se juda hone ka
warna kajal teri aankhon mein na phaila hota
Nazm
Izhaar
Ahmad Nadeem Qasmi