aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi,
jism hai KHwab se lazzat-kash-e-KHamyaza tera
tere mizhgan ke tale nind ki shabnam ka nuzul
jis se Dhal jaane ko hai ghaza tera
zindagi tere liye ras bhare KHwabon ka hujum
zindagi mere liye kawish-e-bedari hai:
ittifaqat ko dekh
is hasin raat ko dekh
toD de wahm ke jal
chhoD de apne shabistanon ko jaane ka KHayal,
KHauf-e-mauhum teri ruh pe kya tari hai!
itna be-sarfa nahin tera jamal
is junun-KHez hasin raat ko dekh
aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi,
tishnagi ruh ki aasuda na ho
jab tera jism jawani mein hai nisan-e-bahaar
rang-o-nikhat ka fishaar!
phul hain, ghas hai, ashjar hain, diwaren hain
aur kuchh sae ki hain muKHtasar o tira-o-tar,
tujh ko kya is se gharaz hai ki KHuda hai ki nahin?
dekh patton mein larazti hui kirnon ka nafuz
sarsaraati hui baDhti hai ragon mein jaise
awwalin baada-gusari mein nai tund sharab
tujh ko kya is se gharaz hai ki KHuda hai ki nahin
kahkashan apni tamannaon ka hai rah-guzar
kash is rah pe mil kar kabhi parwaz karen
ek nai zist ka dar baz karen!
aasman dur hai lekin ye zamin hai nazdik
aa isi KHak ko hum jalwa-gah-e-raaz karen!
ruhen mil sakti nahin hain to ye lab hi mil jaen,
aa isi lazzat-e-jawed ka aaghaz karen!
subh jab bagh mein ras lene ko zambur aae
us ke bose se hon madhosh saman aur gulab
shabnami ghas pe do paikar-e-yaKH-basta milen,
aur KHuda hai to pasheman ho jae!
Nazm
Ittifaqat
Noon Meem Rashid