istiare DhunDhta rahta hun main
dhup mein uDti sunahri dhul ke
bhed sat-rangi tilismi phul ke
jaane kis ke panw ki maddham dhamak
dhyan ki dahliz par sunta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main
jaane kis rangat ko chhu kar
shahr mein aati hai sham
bhul jata hun gharon ke raste logon ke nam
ek an-dekhe nagar ka rasta
is safar mein puchhta rahta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main
ghaib ke shahron se aati hai hawa
phul sa uDta hai tere jism ka
wasl ke dar kholti hain ungliyan
KHun mein ghulta hai tera zaiqa
aate jate mausamon ki oT mein
tera chehra dekhta rahta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main

Nazm
Istiare DhunDta rahta hun
Sarmad Sahbai