ab na un unche makanon mein qadam rakhunga
main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi
apni nadar mohabbat ki shikaston ke tufail
zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi
aur ye ahd kiya tha ki ba-in haal-e-tabah
ab kabhi pyar bhare git nahin gaunga
kisi chilman ne pukara bhi to baDh jaunga
koi darwaza khula bhi to palaT aaunga
phir tere kanpte honTon ki fusun-kar hansi
jal bunne lagi bunti rahi bunti hi rahi
main khincha tujh se magar tu meri rahon ke liye
phul chunti rahi chunti rahi chunti hi rahi
barf barsai mere zehn o tasawwur ne magar
dil mein ek shoala-e-be-nam sa lahra hi gaya
teri chup-chap nigahon ko sulagte pa kar
meri bezar tabiat ko bhi pyar aa hi gaya
apni badli hui nazron ke taqaze na chhupa
main is andaz ka mafhum samajh sakta hun
tere zar-kar darichon ki bulandi ki qasam
apne iqdam ka maqsum samajh sakta hun
ab na un unche makanon mein qadam rakhunga
main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi
isi sarmaya o aflas ke dorahe par
zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi
Nazm
Isi do-rahe par
Sahir Ludhianvi