is gali ke moD par ek aziz dost ne
mere ashk ponchh kar
aaj mujh se ye kaha
yun na dil jalao tum
luT mar ka hai raj
jal raha hai kul samaj
ye fuzul ragni
mujh ko mat sunao tum
burzhwa samaj hai
luT mar choriyan is ka wasf-e-KHas hai
is ko mat bhulao tum
inqalab aaega
us se lau lagao tum
ho sake to aaj kal mal kuchh banao tum
khai se nikalne ki aarzu se pesh-tar
dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gaDha hai
aaj hain jo hukmaran un se baDh ke KHaufnak un ke sab raqib hain
dandana rahe hain jo le ke hath mein chhura
shukr ka maqam hai
meri masKH lash aap ko kahin mili nahin
ek gali ke moD par
main ne puchha waqai
sun ke muskura diya kitni der ho gai
lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua
khaDkhaDain haDDiyan
us gali ke moD se wo kahin chala gaya
Nazm
Is gali ke moD par
Fahmida Riaz