chhoD de mutrib bas ab lillah pichha chhoD de
kaam ka ye waqt hai kuchh kaam karne de mujhe
teri tanon mein hai zalim kis qayamat ka asar
bijliyan si gir rahi hain KHirman-e-idrak par
ye KHayal aata hai rah rah kar dil-e-betab mein
bah na jaun phir tere naghmat ke sailab mein
chhoD kar aaya hun kis mushkil se main jam-o-subu!
aah kis dil se kiya hai main ne KHun-e-arzu
phir shabistan-e-tarab ki rah dikhlata hai tu
mujh ko karna chahta hai phir KHarab-e-rang-o-bu
main ne mana wajd mein duniya ko la sakta hai tu
main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu
main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu
main ne mana teri mausiqi hai itni pur-asar
jhum uThte hain farishte tak tere naghmat par
han ye sach hai zamzame tere machate hain wo dhum
jhum jate hain manazir, raqs karte hain nujum
tere hi naghme se wabasta nashat-e-zindagi
tere hi naghme se kaif-o-imbisat-e-zindagi
teri saut-e-sarmadi bagh-e-tasawwuf ki bahaar
tere hi naghmon se be-KHud aabid-e-shab-zinda-dar
bulbulen naghma-sara hain teri hi taqlid mein
tere hi naghmon se dhumen mahfil-e-nahid mein
mujh ko tere sehr-e-mausiqi se kab inkar hai
mujh ko tere lahn-e-daudi se kab inkar hai
bazm-e-hasti ka magar kya rang hai ye bhi to dekh
har zaban par ab sala-e-jang hai ye bhi to dekh
farsh-e-giti se sakun ab mail-e-parwaz hai
abr ke pardon mein saz-e-jang ki aawaz hai
phenk de ai dost ab bhi phenk de apna rubab
uThne hi wala hai koi dam mein shor-e-inqalab
aa rahe hain jang ke baadal wo manDlate hue
aag daman mein chhupae KHun barsate hue
koh-o-sahra mein zamin se KHun ublega abhi
rang ke badle gulon se KHun Tapkega abhi
baDh rahe hain dekh wo mazdur darraate hue
ek junun-angez lai mein jaane kya gate hue
sar-kashi ki tund aandhi dam-ba-dam chaDhti hui
har taraf yalghaar karti har taraf baDhti hui
bhuk ke mare hue insan ki fariyaadon ke sath
faqa-maston ke jilau mein KHana-barbaadon ke sath
KHatm ho jaega ye sarmaya-dari ka nizam
rang lane ko hai mazduron ka josh-e-intiqam
gir paDenge KHauf se aiwan-e-ishrat ke sutun
KHun ban jaegi shishon mein sharab-e-lala-gun
KHun ki bu le ke jangal se hawaen aaengi
KHun hi KHun hoga nigahen jis taraf bhi jaengi
jhonpaDon mein KHun, mahal mein KHun, shabistanon mein KHun
dasht mein KHun, wadiyon mein KHun, bayabanon mein KHun
pur-sukun sahra mein KHun, betab dariyaon mein KHun
dair mein KHun, masjid mein KHun, kalisaon mein KHun
KHun ke dariya nazar aaenge har maidan mein
Dub jaengi chaTanen KHun ke tufan mein
KHun ki ranginiyon mein Dub jaegi bahaar
reg-e-sahra par nazar aaenge lakhon lala-zar
KHun se rangin faza-e-bostan ho jaegi
nargis-e-maKHmur chashm-e-KHun-fishan ho jaegi
kohsaron ki taraf se surKH-andhi aaegi
ja-ba-ja aabaadiyon mein aag si lag jaegi
toD kar beDi nikal aaenge zindan se asir
bhul jaenge ibaadat KHanqahon mein faqir
hashr-dar-aghosh ho jaegi duniya ki faza
dauDta hoga har ek jaanib farishta maut ka
surKH honge KHun ke chhinTon se baam-o-dar tamam
gharq honge aatishin malbus mein manzar tamam
is tarah lega zamana jang ka KHunin sabaq
aasman par KHak hogi, farq par rang-e-shafaq
aur is rang-e-shafaq mein ba-hazaran aab-o-tab!
jagmagaega watan ki hurriyat ka aaftab
Nazm
Inqalab
Asrar-ul-Haq Majaz