ek murda tha jise main KHud akela
apne kandhon par uThae
aaj aaKHir dafn kar ke aa gaya hun
bojh bhaari tha magar apni rihai ke liye
behad zaruri tha ki apne-ap hi us ko uThaun
aur ghar se dur ja kar dafn kar dun
ye haqiqat thi ki koi wahima tha
par ye badbu-dar lasha
sirf mujh ko hi nazar aata tha, jaise
ek nadida chhalawa ho mere pichhe laga ho
mere kumbe ke sabhi afrad us ki
har jagah maujudgi se be-KHabar the
sirf main hi tha jise ye
TikTiki bandhe hue be-nur aankhon se hamesha ghurta tha
aaj jab main
apne mazi ka ye murda dafn kar ke aa gaya hun
kyun ye lagta hai ki mera
haal bhi jaise taDapta lamha lamha mar raha ho
aur mustaqbil mein jab ye haal bhi mazi banega
mujh ko phir ek bar is murde ko kandhon par uThae
dafn karne ke liye jaana paDega

Nazm
Inna lillahi o inna ileihi rajeun
Satyapal Anand