sham ki siDhiyan kitni kirnon ka maqtal banin
baad-e-masmum ne toD kar kitne patte supurd-e-KHizan kar diye
bah ke mashkiza-e-abr se kitni bunden zamin ki ghiza ban gain
ghair-mumkin tha un ka shumar
thak gain ginne wale har ek hath ki ungliyan
an-ginat kah ke aage baDha waqt ka karwan
an-ginat the mere zaKHm-e-dil
TuTi kirnon, bikharte hue zard patton, barasti hui bundiyon ki tarah
aur marham bhi napaid tha
lekin us roz dekha jo ek tifl-e-nau-zaida ka KHanda-e-zer-e-lab
zaKHm-e-dil mundamil ho gae sab ke sab!
Nazm
Indimal
Shakeb Jalali