ilahi
rahm kar mujh par
mere sine mein phir se dard uThta hai
sulagta hai alaw ki tarah
meri palkon se kuchh ummiden aansu ban ke yun jhaDti hain jaise sukhe patte shaKH se jhaDte hain patjhaD mein
mere ehsas aur jazbaat bachchon ki tarah rote bilakte hain
mere TuTe hue sapne
nigahon mein yun chubhte hain ke jaise kanch chubhta hai
mere arman meri aahon ki surat le ke
is dil se nikalte hain
meri kuchh KHwahishen ab bhi machalti hain taDapti hai mere dil mein ke jaise machhliyan pani se bahar aa gai hon
tanaffus ka amal lagta hai yun jaise
ke meri ruh par koDe koi barsa raha hai
badan yun sard hai
jaise lahu nabzon mein meri jam gaya hai
meri bechainiyon ka aisa aalam hai ke bas tauba
ilahi rahm bhi kar ab
ilahi rahm bhi kar
mujhe bhula hua ek shaKHs phir yaad aa raha hai
mujhe bhula hua ek shaKHs phir yaad aa raha hai
Nazm
Ilahi rahm kar mujh par
Mohsin Aftab Kelapuri