kaun mujhe dukh de sakta hai
dukh to mere andar ki kisht viran ka
ek tana be-barg shajar hai
rut ki nazuk lanbi poren
kirnen KHushbu chap hawaen
jismon par jab rengne phirne lagti hain
mere andar dukh ka soya peD bhi jag uThta hai
tang masamon ke ghurfon se
lambi nazuk shaKHen phan phaila kar
tan ki andhi shiryanon mein qadam qadam chalne lagti hain
sharyanon se ragon ragon se nason ke andar tak
jaane lagti hain
phir wo garm lahu mein mil kar
ek ek baal ki jaD tak phailti jati hain
aur ye mera sadiyon purana maskan KHaki maskan
KHud bhi ek shajar ban jata hai
waqt ki qatra qatra Tapakti
surKH zaban ki nok pe aa kar
jam jata hai
Nazm
Ek tanha be-barg shajar
Wazir Agha