tujh se bichhaD kar bhi zinda tha 
mar mar kar ye zahr piya hai 
chup rahna aasan nahin tha 
barson dil ka KHun kiya hai 
jo kuchh guzri jaisi guzri 
tujh ko kab ilzam diya hai 
apne haal pe KHud roya hun 
KHud hi apna chaak siya hai 
kitni jaankahi se main ne 
tujh ko dil se mahw kiya hai 
sannaTe ki jhil mein tu ne 
phir kyun patthar phenk diya hai
        Nazm
Id-card
Ahmad Faraz

