ujaD si dhup
aadhi saat
ki na-mukammal alamaten
dagh dagh aankhen
ye Tila Tila
utarti bheDen
kahan hai
jo un ke sath hota tha
ek farishta
kaTi phaTi zard
sham se
kaun baDh ke puchhe
ki ek ek barg
aagahi ka
hawa ke pile
larazte hathon se gir raha hai
tamam mausam bikhar raha hai
ki dhime dhime se aati shab ka
ye aabi manzar
KHunuk sa shisha
ki wadi wadi ke darmiyan hai
agar udhar ki sada hai koi
to us taraf hai
idhar ki aawaz
is taraf hai
Nazm
Idhar ki aawaz is taraf hai
Rajinder Manchanda Bani